1. “Zuban toh khol,
    Nazar toh mila,
    Jawaab toh de.
    Main kitni baar lutaa hun,
    Mujhe hisaab toh de.”

2. “Log har mod pe ruk ruk ke
    sambhalte kyun hain,
    Itna darte hain toh
    Ghar se nikalte kyun hain.”

3. “Shaakhon se toot jayein
    woh pattey nahi hain hum,
    Aandhi se koi keh de
    ki aukaat mein rahe.”

4. “Yun toh har phool pe likha hai ki todo mat,
    Dil machalta hai toh kehte hai chhodo mat.”

5.  “Aankh mein paani rakho,
      Hothon pe chingari rakho,
      Zinda rehna hai to
      tarkeebein bohot saari rakho.”

6. “Ek hi nadi ke hain ye do kinaare doston,
    Dostana zindagi se,
    Maut se yaari rakho.”

7. “Phoonk daalunga kisi roz
    main dil ki duniya,
    Yeh tera khat toh nahin hai
    ki jala bhi na sakun.”

8. “Pyaas toh apni saat samandar jaisi  thi,
    Nahaq humne baarish ka ehsaan liya.”

9. “Naye kirdaar aate ja rahe hain,
    Magar naatak puraana chal rha hai.”

10. “Uss ki yaad aayi hai,
     saanson zara aahista chalo,
     Dhadkanon se bhi ibaadat mein khalal padta hai.”

11. “Do gaz sahi ye meri milkiyat to hai,
      Ae maut tune mujhe zamindaar kar diya.”

Topics #Poetry #Rahat Indori #Rahat Indori Shayari #Shayari